Looks-
- bajaj ki sabse sporty bike hai ,new graphics design ke sath premium lagti hai
-dual projector lam bahut attractive lgta hai
- tail lamp bahut jada attractive lgta hai
-build quality bahut acchi hai ,bajaj ki pahli fully fairing bike hai ,indicator ke material bahut acche hain
Engine-
200cc 4strocks single cylinder, liquid cooled engine ,bs4,aho
Power_24.5 bhp
Torque 18.6nm
EVPA syestm - evoportion k karan jo fuel loss hota hai usko reduce krta hai
Performance-
-Top speed-145 km/h ,mileage 30-35 kmpl
-breaking aur controlling bahut acchi hai
Bike me single channel ABS optional bhi hai ,jiski wajah se breaking bahut acchi hai is segment ki bikes me
- rear tyre wide hone ki wajah se cornering bahut acchi hai ,bike ki controlling average hai
- dekhne m bahut sporty lagti hai ,but ride krne me itna jada sporty nhi hai .
-dusri 200cc ki segment ki bikes se iska pickup aur acceleration bahut accha hai
-rear me monosok suspension hai jo ki bahut jada comportable banata hai bike ko
Exhaust sound bhi bahut accha hai .attraction gain krta hai
Dusri in segment ki fully fairing bike s compare kare to ye bahut compotable hai log ride k liye bhi, racing ke liye best bike hai .
Overall performance bahut hi acchi hai
Advantage-
1)riding posture aur comfort bahut hi accha hai log ride ke liye, is segment ki dusri fully fairing bikes se
2)bajaj ki baki bikes ke comparsion me iska exhaust sound alag aur attrctive hai..thoda jada attraction gain karta hai
3)is segment me sbse jada attractive look hai
Is segment ki jitni bhi fully fairing bike aati hai unme se sbse accha look hai, look ke sath sath new features bhi hain
Jaise ki side stand open hone par bike start nhi hogi
4)head light bahut hi acchi hai, night me bahut acchi visibility deti hai ,isme dual projector head lamp bahut hi acche se work krte hain
Disadvantage-
1)riding posture to long ride ke liye bahut accha hai lekin track me perform krne ke liye accha nhi hai .is segment ki bikes me aur bike isse accha posture provide krti hain
2)is bike ka ground clearance thoda sa kam hai ,heavy breakers me body touch ho jati hai
-kai bar traffic me 2nd gear se 1st gear me lane par gear problem krte hain mtlb atak jate hai
3)weight thoda heavy hai ,weight 165kg hai kai logo ko dikkat ho skti hai
4)isme dual channel abs nhi hai
Comments
Post a Comment